Thursday, November 4, 2010

Kya fark padta hai

Kya fark padta hai?

Jo maine itne din laga diye tum ko chahne main?

Kya fark padta hai

Jo humne khud ko bhula diya tumhari chahat main?

Humein koi chand nahin chahiye tha

Na samundar ko peena tha

Humein bus tumhari chahat thi

Mann main bass tumhari muskurahat thi

Humne bas yehi chaha tha ki tum humein dekho

Socho samjho aur parkho,

Kash ki tumhein fark padta ki hum dukhi hain

Kash ki tum humare dil main jhaank sakti ki hum kyun gumsum hain

Kash ki tum samajh pati us nagme ko

Jise humnein likha tumhein jaanne ko

Kash ki tum khyal rakhti humara

Jaise koshish karta hia yeh dil awara

Kash ki tum yeh bhool na jati ki humein bhi chot hai

Kash ki tum yeh yaad rakh kuch aur pyar se masalti humari is ghaw ko

Kash ki tum samajh pati humare is dil ko

Wakayee kya fark padta hai ki tum aisi na ho?

Humnein toh tumhein chahe bas jaisi tum ho

Magar afsos zaroor hota hai humein ki tum itni berehem kaise hui

Kya humnein behkaya aise komal mann ko?


1 comment: